Cappuccino Lyrics - I Me Aur Main

Song : Cappuccino
Movie : I Me Aur Main
Singer: Abhishek Nailwal
Lyricist: Kumaar
Music: Falak Shabbir
Starcast: John Abraham, Chitrangada Singh, Prachi Desai



Subah subah main hans ke
Yeh aaine se bola
Ki kuchh to seekh le o bekhabar..
Tu use kuchh akal kar
Shakal ki na nakal kar
Ki apne jaisa kaun hai idhar | 1 |

Cappuccino mein haseeno ne
De diya hai dil khol kar yeah..
Sab milega, na mile to
Besabar sabra kar
Dil di ja dil khol kar | 2 |

(I me aur main..
I me aur main..)

Ho sunday monday budh ko
Pasand hain hum to khud ko
Hai hum to dil ke fan is kadar
Zara sa man chala hai
Par overall bhala hai
Ke husn ko yeh doondhe darbadar
Take it easy ke badtameezi
Jo dil kare na control kar
Thoda moody, thoda cheezy
Kya fikar, kya zikar
Dil de ja dil khol kar | 3 |

(I me aur main..
I me aur main..)

Ho..Jeeye na khud ki khatir
To jeena saza Ho..
Aye manzil ruk raste ka
Lene de maza ho...
Woh duniya jeetega
Jisko ho ye yakeen ho..
Kabhi khud se behtar hota koi nahin..| 4 |

Capuchino mein haseeno ne
De diya hai dil khol kar
Maangti hai dil internet pe
Sms ya phone par
Dil di ja dil khol kar

(I me aur main..
I me aur main)


Buy I Me Aur Main from Flipkart.com

0 comments:

Post a Comment

+